|
Terii
Bazm-e-Tarab
terii bazm-e-tarab me.n soz-e-pi.nhaa.N leke aayaa huu.N
chaman me.n yaad-e-ayyaam-e-bahaaraa.N leke aayaa huu.N
terii mahafil se jo aramaan-o-hasarat leke nikalaa thaa
vo hasarat leke aayaa huu.N vo aramaa.N leke aayaa huu.N
tumhaare vaaste ai dosto mai.n aur kyaa laataa
vatan kii sub_h aur shaam-e-Gariibaa.N leke aayaa huu.N
mai.n apane ghar me.n aayaa huu.N magar a.ndaaz to dekho
ke apane aap ko maani.nd-e-mahamaa.N leke aayaa
huu.Nmanzil-e-jaanaa.N ko jab ye dil ravaa.N thaa dosto
tum ko mai.n kaise bataauu.N kyaa samaa.N thaa dosto
har gumaa.N pahane hue thaa ek malbuus-e-yaqii.n
har yaqii.n jaa.N daadaa-e-husn-e-gumaa.N thaa dosto
dil ki har dha.Dakan makaan-o-laamakaa.N par thii muhiit
har nafas raaz-e-do_aalam kaa nishaa.N thaa dosto
kyaa Khabar kis justajuu me.n is qadar aawaaraa thaa
dil ke jo ganjiinaa-e-sarr-e-nihaa.N thaa dosto
Dhuu.NDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa vujuud
mai.n talaash-e-dost me.n yuu.N benishaa.N thaa dosto
markad-e-iqbal par haazir thii jab dil ki ta.Dap
zi.ndagii kaa ek pardaa darmiyaa.N thaa dosto
qurb ne paidaa kiyaa thaa Khud hii duuri kaa samaa.N
faasalaa varna haayil kahaa.N thaa dosto ?
beKhudii me.n jab mere ho.nTo.n ne chuumaa qabr ko
mere siina se gadaa-e-fursiyaa.N thaa dosto
ruu-ba-ruu-e-jalwaa-e-markad, vujood-e-kam ayaar
zarr-e-naaqis sharmasaar-e-imtehaa.N thaa dosto
partav-e-dil me.n nihaa.N thii tah-bateh ye Khaamoshii
ishq kaa wo bhii ik izhaar-e-bayaa.N thaa dosto
jalwaagaah-e-dost kaa aalam kahuu.N mai.n tum se kyaa?
jalwaa hi jalwaa wahaa.N thaa, mai.n kahaa.N thaa dosto?
sajdagaah-e-Khurshiyaa.N thaa, yaa.N na jaane kyaa thaa wo
jo merii nazaro.n ke aage aastaa.N thaa dosto
dil ne har lamhe ko dekhaa ik niraale ra.ng me.n
lamhaa lamhaa daastaa.N dar daastaa.N thaa dosto
jis ke she'r-o-naGmagii par vusat-e-aalam thii ta.ng
har subah ko woh dopahre bekaraa.N thaa dosto
so rahaa thaa Khaak ke niiche jahaan-e-zi.ndagii
raaz-e-hastii merii nazro.n par ayaa.N thaa dosto
kaash tum bhii merii palko.n kaa nazaaraa dekhate
ye
nazaaraa kahqashaa.N dar kahqashaa.N thaa dosto
Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah daaman-e-mashriq me.n
sahar hotii hai
zarre
zarre ko tajallii kii Khabar hotii hai
aur
jab nuur kaa sailaab guzar jaataa hai
raat
bhar ek a.ndhere me.n basar hotii hai
kuchh
isii tarah se hai yaad ke tum aaye the
[mashriq=east | sahar=dawn | zarraa=speck/minute particle]
[tajalii=brilliant
light | nuur=light | sailaab=flood/deluge]
jaise gulashan me.n dabe paao.n bahaar aatii hai
pattii pattii ke liye leke nikhaar aatii hai
aur
phir vaqt vo aataa hai ke har mauj-e-sabaa
apane
daaman me.n liye gard-o-Gubaar aatii hai
kuchh
isii tarah se hai yaad ke tum aaye the
[gulashan=garden | mauj=wave | sabaa=gentle breeze]
[gard=dust
| Gubaar=dirt/dust | gard-o-Gubaar=(dhuul-miTTii)]
jis tarah mahv-e-safar ho ko_ii viiraane me.n
aur
raste me.n kahii.n ko_ii Khiyaabaa.N aa jaaye
cha.nd lamho.n me.n Khiyaabaa.N ke guzar jaane par
saamane phir vohii duniyaa-e-biyaabaa.N aa jaaye
kuchh
isii tarah se hai yaad ke tum aaye the
[mahv-e-safar=traveller | viiraanaa=wilderness]
[Khiyaabaa.N=blossoming
garden | biyaabaa.N=desert/jungle]
kaamaraan yuu.N thaa meraa baKht-e-javaa.N kal raat ko
jhuk
rahaa thaa mere dar pe aasamaa.N kal raat ko
[kaamaraan=successful | baKht=luck/fortune]
husn jab thaa ishq ke ghar mahamaa.N kal raat ko
uTh
chukaa thaa har hijaab-e-daramiyaa.N kal raat ko
[mahamaa.N=guest | hijaab=curtain | daramiyaa.N=in between]
kaash ban jaatii hayaat-e-jaavidaa.N kal raat ko
kis
qadar mahabuub thii umr-e-ravaa.N kal raat ko
[hayaat=life | jaavidaa.N=eternal | mahabuub=dear/loved|
umr-e-ravaa.N=fleeting life]
dil agar tanhaa meraa tiir-o-kamaa.N kii zad pe thaa
dil
kii zad par bhii rahe tiir-o-kamaa.N kal raat ko
[tanhaa=lonely | zad=target]
ban rahii thii halqaa merii ziist ke girdaab kaa
kuchh
sunaharii kuchh rupahalii chuuriyaa.N kal raat ko
[halqaa=circumference/ring | ziist=life | girdaab=whirlpool]
[sunaharii=golden
| rupahalii=silver]
ruk ga_ii.n thii yuu.N zamiin-o-aasamaa.N kii gardishe.n
niim-shab par shaam hii kaa thaa gumaa.N kal raat ko
[gardishe.n=cycles/rotations | niim-shab=midnight ]
[gumaa.N=
suspicion]
kyaa Khabar kyo.n husn kii farmaa_isho.n ke baavajuud
ishq
ne chhe.Dii na apanii daastaa.N kal raat ko
[farmaa_ish=request | baavajuud=inspite of] [daastaa.N=tale/story]
subah phir laane ko hai lambii judaa_ii kaa payaam
ye
bhii ik aavaaz aa_ii naagahaa.N kal raat ko
[payaam=message
| naagahaa.N=suddenly]
|