Front Page

Aal Ahmed Saroor

Agha Hashar
Bashir Badar
Ahmed Faraz
Girgit Ahmedabadi
Saghar Khaiyyami
JaganNath Azad
Khwaja Haider Ali
Aalam Khusheed
Abrar Ammad
Ahmad Sagheer
Ahteram Islam
Anwaar Anjum
Asifa Nishat
Badar Wasti
Bashar Sahbayee
Farooq Anjum
Gulzar
Haneef Nazmi
Ibraheem Ashk
Iftekhar Arif

Urdu Adab in Urdu             Urdu Adab in Devnagri Script             Urdu Adab in English

Ibtadaae Ishq Hai

Meer Taqi Meer  

Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.

Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.

Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya.

Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale.

Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham,
So is ahd ko ab wafa kar chale.

Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale.

Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.

Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.

Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq?

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

*****************************************************************
Sakhun zuef se sakht dushwar tha,
Palak ka uthana bhi ik baar tha.

Khara hun agar paaon laghzan rahe,
Badan baid ki tarah larzan rahe.

Chala jaae sar paaon thra thra kare,
Naseem-e-sahar kaar-e-sar sar kare.

Pas az chand aankhen thahrne lagin,
Nigahen bhi kuchh kaam karne lagin.

Bandha natawaani ka rakht-e-safar,
Kiya taaqat-e-rafta ne munh idhar.

Kise tha miri zindagani ka dhayan,
Walekin nihayat tha main sakht jaan.

Lagi jaan si aane aaza ke beech,
Koi roz rahna tha duniya ke beech.

Phira natawan main bahut door se,
Ke nazdik tha aalam-e-gor se.

Woh soorat ka wahm aur deewanagi,
Lagi karne dar parda be-ganagi.

Na dekhe miri oar us payaar se,
Gharibana sar maare deewar se.

Kahin tuk tasalli, kahin be qarar,
Kahin shauq se mere be ikhtiar.

Kahin waaste mere roti hai khoon,
Kahin dast-e-zer-e-zanakh hai satoon.

Khain dil ko apne dikhawe mujhe,
Miri be wafai jitawe mujhe.

Kahin dast bar dil woh rashk-e-qamar,
Kahin hasrat aaluda mujh par nazar.

Kahin mujh se kahti hai rukhsat mujhe,
Ke mutliq nahin ghum ki taqat mujhe.

Kabho be adaai-o-dushnaam hai,
Kabho baad ke haath paigham hai.


Search  |  Chat  |  Friendship  |  Forum  |  Greetings  |  Matrimonial  | News age | Akhbar-e-Jehan Urdu 
Bazm
  |  Cyber Mushaira  |  Urdu Dunia  |  Urdu Sahitya  |  Jokes  |  Filmi Dunia
Best of Ghalib  |   Best of Iqbal  |  Urdu Book Review  | Disclaimer  
About Us  |  Contact Us  |  Home | Mail  | Advertise  | Privacy Policy