(1)
Uthayy sung khre hain sabhi samar ke liyy
Duayy khair bhi mange koi shajar ke liyy
Hamishah gher ka andhera drane lagta hai
Main jab chirag jalat hon rah guzar ke liyy
Khayal aata hai manzil ke pas aate hi
Kih koch kerna ek dosre safer ke liyy
Wahan bhi ahle nazar sar jhukayy baithein hain
Jahan maqam nahin wk zra hunar ke liyy
Qatar bandhe huai taktaki lagayy huai
Khade hain aaj bhi kuch log ek nazar ke liyy
Tamam rat kahn yon bhi neend aati hai
Mujhe to sona hai ek khuab-emukhtasar ke liyy
Kisi ke aage pashaiman hum nahin Aalam
Hamein qabool hai rusvayee umar bher ke liyy
(2)
Siyahiyon ko nigalta hua nazar aaya
Koi chiragh to jalta hua nazar aaya
Dukhon ne rabte mazboot kar diye apne
Tamam shaher bdalta hua nazar aaya
Yeh payas mujh ko zamein bos kerne wali thi
Kih aik chashmah ubalta hua nazar aaya
Woh mer sath bhala kitni door jayga
Jo her qadam pe sanbhlta hua nazar aaya
Nai hawa se safar ab kahn ki shaher mera
Nai mezaj mein dhalta hua nazar aaya
Tawaqquat hi uthne lage zamane ke
Jo eik shakhsh badalta hua nazar aaya
Shikast de ke mujhe khush tha bahut Aalam
Magar woh Hath bbhi milta hua nazar aaya
|
|
|