(1)
Muqadder hai be der-o-deewar rahna
Kahein tyy paraha hai shaher ka mismar rahna
Namood khuab ke aur inhedam khuab ke beech
Qayamat merhalah hai dil ka nahamwar rahna
Dilon ke dermiayn doori ke din hain aur hum ko
Isi mausam mein tanha ber sare paikar rahana
Andheri rat aur shorisgan-e-koy dashnam
Aur aise mein kisi ek aankh kabaidar rahna
Tmasha kerne walw aa rahein hain joq dar joq
Garohe pabajola raqs ko tyyar rahna
Hwai koyy qatil be adab hone lagi hai
Chiragh-e-jadai sidq-o-safa hushyar rahana
Yeh dushwari to aasani kakhamiyazah hai werna
Bahut hi sahel tha hum ko bahut dushwar rahna
Idher kuch din se as basti ko ras aane laga hai
Hum Ashaftah dilon ko darpai aazar rahna
(2)
Bikher jaein ge hum kya
Jab tamasha khatam hoga
Chiragh Hijrah derwaish ki bujhti huyee lau
Hwa se kah gayee hai hum tamasha khtam hoga
Tamash kerne walon ko khber di ja chuki hai
Kih perdah kab gire ga kab tmasha katam hoga
Yahi do eik pal ki rat hai phir matla-il-fajr
Hamare hote hote sab tamasha khtam ho ga
Zamein jab noor se bher di gayee noor ala noor
Bnam maslk-o-mazhab tamasha khatam hoga
|
|
|