Aaj phir ji bhar ke pi aaya hoon main,
Dekhte hi teri aankhen shola saamaan ho gaien;
Shukar kar ai jaan ke main
Hoon dar-e-afrang ka ik adna ghulaam,
Sadar-e-aazam, yaani daryooza gar-e-aazam nahin,
Warna ik jaam-e-sharab-e-arqhawaan
Kya bujha sakta tha mire seena-e-sozaan ki aag?
Ghum se mar jaati na tu
Aaj pi aata jo main,
Jaam-e-rangeen ke bajaae,
Bekason aur naatawaanon ka lahu.
Shukar kar ai jaan ke main
Hoon dar-e-afrang ka ik adna ghulaam
Aur behtar aish ke qaabil nahin.
Be Karaan Raat ke Sannate Mein
Tere bistar pe miri jaan kabhi
Be karan raat ke sannate mein
Jazba-e-shauq se ho jaate hain aaza madhosh
Aur lazzat ki Giranbaari se
Zehan ban jaata hai daldal kisi veeraane ki
Aur kahin iske qarib
Neend aagaaz-e-zamistan ke parinde ki tarah
Khauf dil mein kisi mauhoom shikari ka lieye
Apne par tolti hai, cheekhti hai
Be karan raat ke sannaate mein
Tere bistar pe miri jaan kabhi
Aarzooen tire seene ke kuhistaanon mein
Zulm sahte hue habshi ki tarah reengti hain.
Ek lamhe ke liye dil mein Khayal aata hai
Tu Miri jaan nahin................