Front Page
Sahir Ludhianvi

Mohammad Rashid

Hafeez Jullundhary
Josh Malihabadi
Quli Qutab Shah
Faiz Ahmed Faiz
Majaz
Meeraji
Mehroom
Nazir Akbarabadi
Akhtar Sheerani
Akbar Allahabadi

Urdu Adab in Urdu             Urdu Adab in Devnagri Script             Urdu Adab in English

Raqasa

Abu-al-asar Hafeez Jullundhary

Uf kisqadar dilsoz hai,
Taqrir bazaari tiri.

Kitni hawas aamez hai,
Yeh saada purkaari tiri.

Sharm aur izzat waalian,
Hoti hain iffat waalian.

Woh husn ki shahzaadian,
Parde ki hain aabaadian.

Chashme-e-falak ne aaj tak,
Dekhi nahin unki jhalak.

Sarmaya-e-sharm-o-haya,
Zewar hai unke husn ka;

Shohar ke dukh sahti hain woh,
Munh se nahin kahti hain woh.

Kab saamne aati hain woh,
Ghairat se kat jaati hain woh.

Abi Tau Main Jawan Hoon
Hawa bhi khushgawar hai,
Gulon pe bhi nikhar hai,
Tarannum-e-hazaar hai,
Bahar pur bahar hai.

Kahan chala hai saqia,
Idhar tau laut, idhar tau aa,
Are yeh dekhta hai kya?
Utha saboo, saboo utha,
Saboo utha, pyaala bhar,
Payaala bhar ke de idhar,
Chaman ki simt kar nazar,
Saman tau dekh, be khabar;

Woh kaali kaali badlian,
Ufaq pe ho gaein ayyan,
Woh ik hajum-e-maikashan,
Hai soo-e-maikada rawan; 
 

Back Page >>

 


Search  |  Chat  |  Friendship  |  Forum  |  Greetings  |  Matrimonial  | News age | Akhbar-e-Jehan Urdu 
Bazm
  |  Cyber Mushaira  |  Urdu Dunia  |  Urdu Sahitya  |  Jokes  |  Filmi Dunia
Best of Ghalib  |   Best of Iqbal  |  Urdu Book Review  | Disclaimer  
About Us  |  Contact Us  |  Home | Mail  | Advertise  | Privacy Policy