|
K a h a n i y a n
|
|
Naak
Katne Wale
|
|
Gulam Abbas
|
|
Raat ko jab gaun ke sab chhote bade
chain ki mithi nind sote to ram lal chaukidar kandhe par apni
purani lathi lekar jhopde se bahar nikal aata aur ganv ki
andheri galiyon mein phira karta ki koi chor to nahin thodi der
ke bad vo chilla uthta , jag ke sona ,,uski awaaz badi daravni
thi kabhi kabhi raat ko uski awaaz ko sunkar bchche maa se lipat
jaya karte thei kabhi uski awaaz se uski nind uchat jati to usko
gussa aata ki har roz yoon hi chikhna, na chor na chor ka sala,
khuvah mukhvah nind kharab karta hai gaun ke kinare mittiaur
phoons ka eik jhopda tha yehi ram lal chaukidar ka ghar tha ghar
mein aath sal ki eik yateem poti thi aur bas allah ka naam tha
bis vars se ganu meni chaukidari karta tha ! chea rupia mahina
milta, yehi sab kuch tha aur esi mein vo khush tha ! poti se
usko mohbbat thi par jab uski gashti ka samai aata to vo usko
jhopdi meni akela chodkar gasht karne ke liye chala jata ladki
akele darti thi par vo apne kartavia ko nahin bhoolta pani barse
yaa toofan aaye kaya majal ki ram lal gasht na kare kabhi-kabhi
log usko samjhaya karte ki raat bhar phirne ki kaya zrurat hai !
eik dobar ghoom phir kar dekh lo par ram lal jvaab deta, mujhe
tankhuh esi ki milti hai bis varsh ki muddat me kabhi bhi aisa
na hua ki ramlal ne gaun me gasht na lgai ho kdake ke jade meni
bhi vo bistar chodkar thandi hava meni thithurta rahta tha par
apne kartavia ko na bhulta.
Aaspaas ke choron se ramlal ko nafrat thi sabke sab uske shatru
thei do teen baar choron ne milkar us par hamla bhi kiya par
ralal suvam shaktishali tha, kuch der tak unka mukabla karta
raha phir logon ko madad ke liye bulaya aur chor usko mar bhi na
sake sab uske marne ki duaaen manga karte thea par eis gaun ki
or muh uthakar bhi na dekhte …..!
aun ke zamindar ram narayan babu ke bade bete ram chandar babu
dipti magistarethua ! ramlal ji ko badi khushi huiki uske
zamindar ke bete bete dipti magistaret ho gaye ! ab uski halat
yeh thi ki vo sir uthakar chalta tha ! jab thane mein hazri dene
jata tha to doosre chuakidaron se khud ko bada samajhta tha
kyonki uske zamindar ke bete dipti the aur doosron ke nahin !
Voh bade garv se logon se kaha karta ! dipti sahab to meri god
ke khilai hua hain ! ab mein jamadar zaroor ho jaiga ! doosre
chuakidar uski baton ko sunte aur eik sans leke ke reh jatethe !
sabko yaqeen tha ki ramlal zaroor jamadar ho jaiga !
Dipti sahab durga pooja ki chuttiyon mein ghar aaya ! ramlal ne
apni vardi nikali, aur pahankar sidha duty par pahuncha ! dipti
sahab ghar mein the ramlal baitha raha uski khushi ka andaza
karna mushkil tha ! uska dil dhak-dhak kar raha tha ! vo soch
raha tha ki dipti sahab aayenge, mein unko is tarha salam
karoonga vo muskura kar jawaab denge aur poochenge too kaisa hai
? mein kahoonga sarkar ki kirpa hai ! sahab hans denge ! ramlal
is khayal hi se khush ho gaya jaise usko badi dualat mil gayee !
bade ki meharbani ke saath eik hansi hi gharib ke liye bahut
badi dualat hai ramlal inhi vicharon mein baitha raha aur
ghanton guzar gaye patvari sahab ne kaha are vo abhi aaye hain
thake hain so gaye honge !
Ramlal bola, "jab vo sokar uthenge tab hi mein bhi jaoonga,
aagya hoon to baghair hazri diye kaise jaoon ?"
Patvari ji apne kamo mein lag gaye aur ramlal apne khayal mein
must baitha raha ! subha ke vaqt aaya tha, sham hone ko aayee to
dipti sahab ghar se bahar aaye, ramlal ne jhuk kar salam kiya
dipti sahab ne koi jawaab na diya vo eik mamooli chuakidar ke
salam ka jawaab kaise dete ! vo samjheki shayad kuch inaam
mangne aaya hai ! ramlal khada hi ki shayad ab kuch bolen lekin
dipti sahab ne uski oor dekha tak nahin aur apne kuch
rishtedaron ke saath baten karne lage ! ramlal is ummid mein
baitha raha ki ab unki baat khatam hogi aur dipti sahab meri oor
dekhenge aur baten karenge ! Dipti sahab doosron se baten kar
rahe the ! par ramlal khushi mein yeh samajh raha tha ki dipti
sahab usi se baten kar rahe hain ! jab unke rishtedar chale gaye
to dipti sahab uthe aur bahar aaye ! ramlal ne phir jhuk kar
salam kiya ! ab dipti sahab khade ho gaye aur ramlal unke honto
ko dekhne laga ki ab hilen, ab hilen ! dipti sahab ne bade
rookhe dhang se poocha, "kya mangta hai sham hone ko aayee
to dipti sahab ghar se bahar aaye, ramlal ne jhuk kar salam kiya
! dipti sahab ne koi jawaab na diya vo eik mamuli chuakidar ke
salam ka jawaab kaise dete ! vo samjhe ki shayad kuch inaam
mangne aaya hai ! ramlal khada hi raha ki shayad ab kuch bolen !
lekin dipti sahab ne uski oor dekha tak nahin aur apne kuch
rishtedaron ke saath baten karne lage ! ramlal is ummid mein
baitha raha ki ab unki baat khatam hogi aur dipti sahab meri oor
dekhenge aur baten karenge ! dipti sahab doosron se baten kar
rahe the ! par ramlal khushi meni yeh samjh raha tha ki dipti
sahab usi se baten kar rahe hain ! jab unke rishtedar chale gaye
to dipti sahab uthe aur bahar aaye ! ramlal ne phir jhuk kar
salam kiya ! ab dipti sahab khade ho gaye aur ramlal unke honto
ko dekhne laga ki ab hilen, ab hilen !
Dipti sahab ne bade rookhe dhang se poocha, "kya mangta hai
?"
Dipti sahab bole, "dekh liya tum zinda hai - jaoo ab
!"
Ramlal salam karke sir jhukai vapas chala aaya ! usko aisa
maloom hua jaise kisi ne uske dil mein chhoori bhonk di ho !
usko vo vaqt yaad aa gaya jab ramchandar babu usse kaha karte
the !
"Ramlal tote ka bachcha la do !" aur kahte the, hum
jab dipti honge to tumko apna chaprasi banainge !" uski
aankhe dabdaba aayee ! uske dil meni iske siva aur koi ichha na
thi ki dipti sahab usse muskurakar eik jula kah den ! par vo yeh
samjha ki ismeni meri hi koi khata hai ! maloom hota hai ki kisi
shikayat kar di hai ki ramlal gashat nahin lagata ! isi vajhah
se dipti sahab khapha ho gaye.
Raat hui sab log so gaye ! ramlal raat apne ghar se lathi lekar
nikla aur gasht lagane chala gaya ! uski ikluati poti ki tabiyat
kharab thi ! Ramlal raat bhar ghayab raha aur vo bhookh se ro
rahi thi ! par ramlal ko uski bimari ka khayal na aaya, ghar se
nikal pada, gaun meni pahunchkar eik baar kadak kar usne zor se
awaaz di, "jaag kar sona !" aur age badh gaya ! thodi
door jakar phir awaaz di aur age badh gaya, thodi door jakar
phir awaaz lagayee aur age badh gaya ! isi tarha awaaze deta aur
gaun ka gusht lagakar vapas aa gaya !
Eik ghante bad phir nikal pada aur sare gaun ka chakkar kat kar
vapas aaya aur isi tarha raat chakkar lagata raha ! vo samajh
raha tha ki ab dipti sahab zroor khush ho jainge, agar kisi ne
shikayat dar di hogi to unka ghussa khatam ho jaiga ! Is tarha
ke dilkhush karne wale khayalon mein magan hokar so gaya !
Subaha hui, utha munh haath dhokar baitha hi tha ki zamindar ka
piyada aaya aur bola, "tumhen dipti sahab ne bulaya hai
!"
Ramlal khush hokar uth khada hua ! usko badi khushi thi ki
aakhir dipti sahab ne bula hi liya ! raat ka pahra diya hai usse
vo khush ho gaye zaroor kisi ne shikayat ki thi is liye naraaz
the ! ramlal jhonpdi ke bahar gaya aur apni phati hui pagdi sir
par rakhi, aur haath mein lathi pakadkar piyade ke saath chal
pada ! zamindar ke bagle par aaya to dipti sahab samne kursi par
baithe the! Ramlal ne baari- baari jhuk kar sab ko salam kiya !
dipti sahab ne dekhte hi garaj kar kaha, "tum budha ho gaya
magar bilkul gadha hai raat bhar chillata hai koi aane wala
thode hi baitha hai ?"
Ramlal, "sarkar hum to roz hi pahra dete hain !"
Dipti sahab ne dant kar kaha,haan pahra deta hai, paagal kahin
ka, raat ko sone nahin deta khabardar jo aaj se awaaz suni ghar
mein soya kyon nahin rahta !"
Ramlal sir jhuka kar chala gaya ! uska dil bahut kudha hua tha
phir bhi apne kamo mein laga raha ! gharib ko kam se chutti hoti
hai ! us raat se ramlal ne gaun mein ghoomna band kar diya kisi
ne uski awaaz na suni hone waali baat do char dino mein dipti
sahab ke ghar mein chori ho gayee ! subha ko ramlal utha to usko
maloom hua ! jane hi ki chinta mein tha ki zamindar ka piyada aa
gaya aur bola, "dipti sahab bula rahe hain !"
Ramlal uske saath chala gaya ! dar raha tha aur gharib darta
kyon nahin jab vo pahra deta tha to baat sunni padi thi aur ab
dipti sahab ko thodi yaad rahega ki unhone pahra dene ko mana
kiya tha inhin khayalon mein uljha hua ramlal bangle par
pahuncha ! dipti sahab kursi par baithe hue the aur unki aankhon
se chingariyaan nikal rahi thi ! dekhte hi gharib par jhapat
pade aur jitni ghaliyaan de sakte the de di, do chaar thappad
bhi budhe ramlal ki qismat mein likhe the mil gaye !
Thanedaar aaya chori ki riport likhai gayee aur vo chala gaya !
dipti sahab ramlal ko jitni shikayate kar sakte the likhva li
natija aur kuch to na nikla albatta ramlal ki nuakri jate hi aur
uske badchori hona roz ki baat ho gayee ! yeh kahani bahut
purani hai ! ab na ramlal hai na dipti sahab ! par is kahani ko
ab bhi log dohrate hain !
|
|
|
Kahani :-
1 | 2
| 3 | 4
| 5 | 6
| 7 |
|
|
|
Adbi
Links |
|
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^ |
|
|
| |
|
Urdu
Adab |
|
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^ |
|
|
| |
|
UrduNet
Channels |
|
|
|