|
Zawal-e-herf
Jo kuch hon, woh nahim hon main
Jo bhi hon woh kahan hon main?
Woh jo hona tha, woh nain hua
Jo na hona tha, wahi kiyon hua?
Jo kuch na hin wahi sab kuch yahan
Jo kahin nahin wahi her taraf
Ayy waqt ke chara gar, bata
Yeh kiyon hua?
Woh kiyon na hua?
Yeh hua to uska sabab hai kaya?
Woh jo na hua to raz hai kaya?
Woh jo kuch nahin to kiyon nahin?
Yeh kuch hai to uska jawaz kaya?
Yeh zaban ka mubhum sawal kiyon hai?
Khabar se uljha sawal kiyon hai?
Jawab us ka muhal kiyon hai?
Muhal hai to malal kiyon hai?
Sawal ab bhi sawal kiyon hai?
Yeh haraf haraf ka zawal kiyon hai?
|