|
BaHum Razai
Khud Kushi
BaHum Razai Khud Kushi
Badan mar chukka hai
Kaho iska matam Karen yaa mania
Koi jashan hum ba hami qaid se chutne ki
Khushi mein meri jaan
Bahut saal guzre
Tumhare tanaphus ne pathar ke is shau mein
eik rooh phoonki thi
is ko jala bakhsh kar
zinda hone ka masharda diya tha
bahut saal guzre
ke eik lams ne
eik be jaan
mitti ke dhele ko jiyun ki khairat
de kar kaha tha
utho tumko ab zindagi mil gayee hai
tumhare badan ki karamat thin yeh
voh tab tha
yeh ab hai
tumhara badav kho chuka hai
gazishta kai baras se voh tanafas ka jadoo
chamakta raas lams ka
jis se pathar ka be jaan shu lang bhi ji utha tha
nahin iska ehsaas shayad nahin hai
ke dono badan
Ba hami khud kashi ki
raza mein badhe der se mar chuke hain
kaho is ka matam karen yaa manai
koi jashan hum
Ba hami qaid se chutne ki
khushi mein meri jaan
|
|
|