Pinjara khul jane par bhi .......bahar nahin aata
Chonch chupaye paron mein
Aankhen adh mundi karke parinda
Andar hi baitha rahta hai
Khuli fizaon mein an dekhe khatron se
Darta hai ........yeh bhi !
Bilkul apni palne vali jaisa hai !
*************************************************
Chand sitare darwaaze par
Bant liye apas mein sabon ne
Raat mere kamre mein khali haath hi ayee
Meri tarha !
*************************************************
Subha se sham ke beech mein bhool bhulaiyon wala
Eik be hadd lambadan bhi to hota hai
Subha ke bhule shaqm ko vapas akar
Ghar bhi vapas palne ki toqa
Kyon rakhte hain